Radio and PodcastRadio and PodcastLive Radio & Podcasts
Lafz cover
Arts

Lafz

Soz

Jab nahin rahunga main tab bhi rahunga yahin Meri aawaaz siyaah waqt par tairati rahegi Kisi sadi mein zamaana yun bhi sochega Bohot waqt lag gaya miyaa'n Tum tak aate aate Soz :) Ig : Abhis...

Episodes

20 of 59 episodes

Bashir Badr

Hijr ke waqt ka ek sher hai Jo baar baar padh raha tha main Bashir Sahab likhte hain Aur Jagjit ne gaaya bhi toh hai : MOHABBAT EK KHUSHBU H...

00:03:48Jun 1, 2026

Mohabbat ki ek nazm - Amjad Islam Amjad

Tanha tanha baithe baithe Is ek nazm ko padhte hain Aur yaad karte hain Usi ek shakhs ko Woh jo saath chalte chalte Koi aur raah mud gaya Wa...

00:02:58May 9, 2026

Mujhse pehle tujhe jis shakh ne chaaha us ne - Ahmed Faraaz

Main subah ke pehlu mein leta Ye ek nazm padh raha hun Neend aankhon mein hai Aur ek khwaab table par baitha hai Tumhari yaad kamre mein Cig...

00:02:12Jan 18, 2026

Woh ki har ahad e mohabbat se mukarta jaaye - Alamtaab Tishna

January mein tishna saahab ki ye ghazal , badan par itwaar ki halki dhoop ki maanind mehsoos ho rahi hai .. main mal raha hun isey . PS : th...

00:01:42Jan 4, 2026

Koi abr udey kisi kulzum se

Saaqi Faaruqi ki ye nazm .. udti udti kaano mein pad gayi mere .. kisi ne hawaaon pe rakh di hogi .. tamaam umra koi zaayaka ghulta raha .....

00:01:12Dec 28, 2025

Door se hi bus dariya dariya lagta hai - Waseem Barelavi

Ek sher mein Waseem Sahab likhte hain : Main usko aansuo'n se likh raha hun Ki mere baad koi padh nah paaye :) Main sochta hun Ki aise kitne...

00:03:34Aug 24, 2025

Woh Saahilon Pe Gaane Waale Kya Hue - Nasir Kazmi

Subah ke paanch baj rahe hain yahaan Mand mand baarishon mein bheegte hue Waqt nange paaon chal raha hai :) Main tanha apne kamre mein baith...

00:01:44Jul 13, 2025

Main tumse pyaar karta hoon - Ashfaaq Hussain

Kitni nanhi nazm hai ye Kisi chhote bachche ki tarah Aur usi ki tarah iska har ek lafz Kitna sachcha hai Zia Mohyeddin ke recitation ne is e...

00:01:14Jun 30, 2025

Tamaam umra tera intezaar humne kiya : Hafeez Hoshiarpuri

Ye ek ghazal record ki shaair hain janaab hafeez hosiyaarpuri Aur kuchh kehne ko baaqi raha kya ? Apni ek nanhi nazm post kar raha hun Padhi...

00:01:18Jun 19, 2025

Koi Aashiq Kisi Mehbooba Se - Faiz

Faiz Ahmed Faiz ki yeh nazm sirf ek aashiq aur mehbooba ke darmiyan khāmushi aur yaadon ka fasaana nahin — balki ek khamosh inqilāb ki sargu...

00:01:31Jun 8, 2025

Hum jo taareek raahon mein maare gaye

Faiz ki ye ek historic nazm hai jo unhone Julius aur Ethel Rosenberg ke khutoot se inspire ho kar likhi thi . Translation Aaga Shahid Ali ka...

00:01:43May 26, 2025

Ek Andha Safar Hai Ye

Ye ek naya stanza kaha tha maine aur priya ne apni aawaaz mein piro diya . Aaj is saal ka aakhiri din hai .. aur ye kitna munaasib hai ye ke...

00:02:44Dec 31, 2024

Yun na mil mujhse khafa ho jaise - Ehsaan Daanish

Aadaab Aaj subah phone scroll karte waqt Ehsaan Danish ki ye ek ghazal mili . Dafatan usko record bhi kar liya .. Yun hi ek random se recita...

00:02:12Nov 8, 2024

Stand with RG Kar

Ye nazm takreeban ek maheene pehle Kalimpong ki waadiyon mein record ki thi . Kaifi Azmi ki ye nazm duniya ki har ek Abhya ko dedicated hai...

00:03:30Oct 3, 2024

Ye pichhle ishq ki baatein hain - Mohsin Naqvi

Mohsin Naqvi deewaano ke shaair hain .. Unki shaayari kisi khushbu ki tarah hai jo gaayab hone ke baad bhi maheeno yaad rehti hai .. Bahar-h...

00:04:19Jun 27, 2024

Kahaan aa ke rukne the raaste , kahaan mod tha usey bhool jaa - Amjad Islam Amjad

Amjad saahab ki ye ek badi hi iconic ghazal hai . Woh saare log , jo kisi rishte se baahar toh aa gaye hain .. par mentally ab talak usi ris...

00:03:36Apr 29, 2024

Bhali si ek shakl thi - Ahmed Faraz

Ahmed Faraz ke liye Gulzar ne ek nazm mein likha tha : Sookh gaye hain phool kitaabo'n mein Yaar 'Faraaz' bhi bhichhad gaye hain Shaayad mil...

00:04:31Mar 31, 2024

In conversation with Ghalib

Ibn e mariyam hua kare koi Mere dukh ki dawa kare koi Talking to Ghalib is like talking to your best friend . You can share all your secrets...

00:07:29Mar 17, 2024

Tanvir Monis - Jaan majboor hoon

Ek nazm mein kitne saare lamhe lipte hote hain . Kabhi kholo toh gulaab ki sookhi hui pankhudiyo'n ki khushboo aati hai . Is ek nazm mein bh...

00:03:03Mar 2, 2024

Baat niklegi to phir door talak jaayegi

The unwaan ( title ) of this nazm is " Andesha " , but most of the world knows it as " Baat niklegi toh phir " . The imagery is so beautiful...

00:03:42Feb 12, 2024